1. Maulana Azad - muslim hero ke congressi agent?
1937-1947 ke arse mein maulana bawajood congress sadar rahne ke musalmanon ko koi faayeda nahi dila paaye, cabinet mission plan bhi congressi hinduon ne nakaar diya.
ulta maulana ki wajah se humein nuqsaan hua ke ..
2. congress jaisi regressive hindu jamaat apne aap ko secular bolne ki himaqat kar sakti thee.
1947 ke baad maulana irrelevant hain, aur musalmanon ko waise hi fayeda pahunchaya hai jaise shahnawaz hussain ne bjp mein rahke pahunchaya, ke kisi ka ghar banwaya, naukri dilwayee ..
3. wo 1947 ke jume waale khutbe ko hadd se zyada na uchhaalein, dilli ke do chaar mohalle ruk gaye honge unke khutbe ki wajah se, aur wo na bhi rukte to jaama masjid yahin rahta, aur musalman use wapas aabaad karte. ..
4. Maulana azad ki shakhsiyat se musalmaanon ko bahaisiat ek political giroh ke 1930 ke baad koi faayeda nahi hua. Nuqsaan ki fehrist lambi hai. Hamare kaam ke jawaan maulana hain, alhilaal aur albalaagh waale, na ke 1930 ke baad ke gandhiwaadi maulana.
-end-
• • •
Missing some Tweet in this thread? You can try to
force a refresh