#Ta'weez Pahenne Ka Saboot Sahaabi Aur Mohaddiseen Se

1 - Jaam'e Tirmizi, Hadees No.3528
Tarjumah - "Rasoolullah ﷺ Ne Farmaaya Ke Jab Tum Me Se Koi Nee'nd Me Darr Jaaye To Yeh Du'aa Padhe👇
أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ غَضَبِهِ وَعِقَابِهِ وَشَرِّ عِبَادِهِ وَمِنْ هَمَزَاتِ الشَّيَاطِينِ وَأَنْ يَحْضُرُون"

Tarjuma - Mai'n Panaah Maa'ngta Hun Allah Ke Kaamil Wa Jaam'e Kalmo'n Ke Zariye Allah Ke Gazab, Allah Ke Azaab Aur Allah Ke Bando'n Ke Sharr👇
Wa Fasaad Aur Shayaateen Ke Waswaso'n Se Aur Iss Baat Se Ke Woh Humaare Pass Aaye'n.

Yeh Du'aa Padhne Se Pareshaan Kun Khwaab Usko Kuchh Nuqsaan Nahi Paho'ncha Sakega.

Hazrate Abdullah Bin Umar Radiallahu Anhu Apne Baalig Bachcho'n Ko Yeh Du'aa Sikha Dete The Aur Jo Bachche👇
Na Baalig Hote The Unke Liye Yeh Du'aa Kaagaz Pe Likh Kar Unke Gale Me Latka Dete The".

Imaam Tirmizi Rahmatullah Alaih Kehte Hai'n Ke Yeh Hadees Hasan Gareeb Hai. (Matlab Yeh Hadees Qaabil e Qabool Hai)

Iss Hadees Ko Aur Kitne Mohaddiseen Ne Likha Hai Post Ke Aakhir Me👇
Mulaaheza Farmaaye'n

2 - Gunyatut Taalibeen, Safha No.130 Me Gause A'azam Shykh Abdul Qaadir Jilaani Rehmatullah Alaih Likhte Hai'n.

Bukhar Ka Ta'weez :
Neeche Di Huwi Du'aa Likh Kar Aur Ta'weez Banaakar Bukhaar Waale Ki Gardan Me Daaldo, Imaam Ahmad Bin Humble Rehmatullah👇
Alaih Farmaate Hai'n Ke Mujhe Bukhaar Huwa To Yeh Du'aa Likh Kar Di Gayi,
Tarjuma - Allah Ke Naam Se Jo Bada Maherbaan Nihaayat Rahem Karne Waala Hai, Allah Ke Naam Ki Barkat Se, Mohammad Allah Ke Rasool Hai'n, Aye Aag Ibraaheem Par Thandi Aur Salaamati Waali Hoja, Unhone👇
Ibraaheem Ke Saath Tadbeer Ki Lekin Humne Unhe'n Nuqsaan Uthaane Waala Bana Diya, Aye Jibrail, Meekaa'il Aur Israafeel Ke Rab, Apni Qudrat e Kaamela Se Iss Sahib e Ta'weez Ko Shifa Bakhsh, Tu Hi Sabse Badh Kar Rahem Karne Waala Hai.👇
3 - Fathul Baari Sharah Sahih Bukhaari, Jild No.10, Safha No.196 Me Imaam Ibne Hajar Askalaani Rehmatullah Alaih Likhte Hai'n.
Tarjumah - "Tamaa'im Tameemah Ki Jama Hai, Isse Muraad Woh Daane Aur Maale Hai'n Jo Gale Me Latkaaye Jaate Hai'n, Ahle Arab Zamaana e Jaahiliyat Me👇
Aqeeda Rakhte The Ke Yeh Tameemah Aafaat Ko Dafa Karte Hai'n.
Imaam Ibne Hajar Askalaani Rehmatullah Alaih Ki Iss Wazaahat Se Yeh Saaf Hogaya Ke Jo Hadees Me "Tameemah Ko Shirk Kaha Gaya Hai" Woh Qur'aani Ya Du'aa'iyah Ta'weez Nahi Balke Mushriko Ke Daane Aur Maale Wagaira Hai👇
Qur'aani Ta'weez Pahenna Bilkul Jaiz Hai Balke Sahaabi Ki Sunnat Hai.

Hazrate Abdullah Bin Umar Radiallahu Anhu Waali Hadees Ke Hawaale Mulaaheza Farmaaye'n
1 - Jaam'e Tirmizi, Hadees No.3528
2 - Masnade Ahmad Bin Humble, Hadees No. 6696👇
3- Imaam Ibne Abi Shayba (Ustaad Of Imaam Bukhaari, Muslim & Abu Daawood) Al-Musannaf, Hadees No. 2413
4 - Imaam Daarmi, Al Raddu Ala Jaheemiya, Safa No. 150
5 - Imaam Bukhaari, Khuliki Afa'alu Ibaad, Safha No. 89
6 - Sunan e Abu Daawood, Hadees No.3893👇
7 - Imaam Tabraani, Ad-Du'aa, Hadees No.1086.
8 - Imaam Haakim, Al-Mustadrak, Jild No. 1, Safha 733, Hadees No. 2010.
9 - Imaam Baiheqi, Kitaabul Aadaab, Safha No.893
10 - Imaam Baiheqi, Al Isma Wassifaat, Hadees No.4407👇
11 - Khateeb Tabrezi, Mishqaatul Masaabih, Hadees No.2477
12 - Imaam Munzari, At Targeeb Wat Tarheeb, Hadees No.2496
13 - Imaam Nawvi, Al-Azkaar, Hadees No.354

Wahabio Ke Molvio Ne Bhi Iss Hadees Ko Likha Hai

1 - Allama Zehbi, At-Tibbun Nabi, Safha No.281👇
2 - Ibne Taimiyah, Al Kalimut Tayyib, Safha No.32, Hadees No.48.
3 - Ibne Kaseer, Tafseer Ibne Kaseer, Sureh Momin, Safha No.97.
4 - Ibne Qayyim Jauzia, Ja'adul Maad, Jild No.4, Safha No.290
5 - Naasiruddin Albaani, Sahi Sunan e Tirmizi, Hadees 2793👇
Is Post Ko Jyada Se Jyada Share Kijiye Taaki Logo Tak Sahi Deen Paho'nch Ske.
@Mahin__sayss_
@chandnii__
@kamal_akhter
@SeemaSheikh_17

• • •

Missing some Tweet in this thread? You can try to force a refresh
 

Keep Current with ضربے سنی

ضربے سنی Profile picture

Stay in touch and get notified when new unrolls are available from this author!

Read all threads

This Thread may be Removed Anytime!

PDF

Twitter may remove this content at anytime! Save it as PDF for later use!

Try unrolling a thread yourself!

how to unroll video
  1. Follow @ThreadReaderApp to mention us!

  2. From a Twitter thread mention us with a keyword "unroll"
@threadreaderapp unroll

Practice here first or read more on our help page!

Did Thread Reader help you today?

Support us! We are indie developers!


This site is made by just two indie developers on a laptop doing marketing, support and development! Read more about the story.

Become a Premium Member ($3/month or $30/year) and get exclusive features!

Become Premium

Don't want to be a Premium member but still want to support us?

Make a small donation by buying us coffee ($5) or help with server cost ($10)

Donate via Paypal

Or Donate anonymously using crypto!

Ethereum

0xfe58350B80634f60Fa6Dc149a72b4DFbc17D341E copy

Bitcoin

3ATGMxNzCUFzxpMCHL5sWSt4DVtS8UqXpi copy

Thank you for your support!

Follow Us on Twitter!

:(