ضربے سنی Profile picture
May 5 16 tweets 5 min read Twitter logo Read on Twitter
Pakki Qabr (Mazaar) Aur Pakki Wa Buland Masjid Banana Kaisa?

Pakki Qabr Banane Ki Hadees Shareef Mein Mumaane'at Aayi Hai, Pakki Qabr Se Murad Jaise Isaayi Pakki Qabr Banaate Hai,
Jabke Sunni Musalman Ambiya, Sahaba, Ahle Bait Aur Auliya Ki Qabro'n Ko Pakka Nahi Banate👇
Qabr Andar Se Kachchi Hoti Hai, Qabr Ke Upar Jaali Rakhi Jaati Hai Aur Uske Upar Chaadar Wa Phool Daale Jaate Hai, Andar Se Qabr Kachchi Hi Hoti Hai,

Ab Rahi Baat Ke Hadees Shareef Mein Jo Aaya Hai Ke Qabr Par Imaarat Mat Banao To Isse Muraad Qabr Ke Bilkul Upar Imarat👇
Banane Ko Mana Kiya Gaya Hai Jaise Isaayi Unki Qabro'n Ke Bilkul Upar Imarat Banate Hai'n Aur Tasveer Wagairah Bhi Banate Hai, Jabke Sunni Musalman Qabr Se 2-3 Fit Door Chaaro Taraf Se Deewaar Banaate Hai'n Aur Deewaar Ke Upar Gumbad Banate Hain👇
Wahabi Firke Wale Ek Hadees Pesh Karte Hai Ke Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ko Rasoolullah ﷺ Ne Hukm Diya Ke Jahaa'n Kahi Bhi U'nchi Qabr Aur Tasveer Dikhe Usko Tod Do, Aur Wahabi Iss Hadees Ko Musalmano Par Fit Karte Hai'n Jabke Yeh Hadees Yahoodi Wa Isaayi Wa👇
Mushrikeen Ki Qabro'n Ke Muta'alliq Hai, Iski 2 Wajah Hai,

(1) Pehli Wajah Yeh Hai Ke Rasoolullah ﷺ Ki Zaahiri Zindagi Mein Jitne Bhi Musalmaano Ka Inteqaal Huwa Tha Unki Qabr Khud Rasoolullah ﷺ Ne Banaayi Thi Ya Aapki Nigraani Mein Banayi Gayi Thi👇
(2) Doosri Wajah Yeh Hai Ke Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya U'nchi Qabro'n Aur Tasveero'n Ko Tod Do Jabke Koi Musalman Qabr Par Tasveer Nahi Banata, Yahoodi Aur Isaayi Unki Qabro'n Par Tasveer Banaate Hain.

Isse Baat Bilkul Waazeh Hogayi Ke Jin Qabro'n Ko Todne Ka Hukm Diya👇
Gaya Tha Woh Musalmaano'n Ki Nahi Thi Warna Phir Yeh Kaise Ho Sakta Hai Ke Pehle Rasoolullah ﷺ Musalmaano'n Ki Pakki Qabr Banaaye Aur Phir Unko Todne Ka Hukm De, Aisa Nahi Ho Sakta To Maanna Padega Ke Woh Hukm Yahoodiyo'n Aur Isaa'iyo'n Ki Qabro'n Ke Muta'alliq Tha,👇
Sahaaba, Ahle Bait Wa Auliya Ki Mazaar Isliye Banayi Jaati Hai Taake Aam Musalmaano Mein Aur Allah Ke Walio'n Mein Farq Wazeh Ho Jaaye Aur Log Unki Qabr Ki Ta'zeem Karen Aur Yeh Tareeqa Aajkal Ka Ya Hindustaan Pakistan Waalo Ka Nahi Balke Poori Duniya Mein Jahaan👇
Kahi Bhi Musalman Maujood Hai Wahan Par Buzurgaan e Deen Ki Mazaaraat Maujood Hai, Lekin Kisi Bhi Imaam, Ya Mohaddis Ya Mufassir Ne Mazaaro'n Ko Galat Nahi Kaha Balke Firqa e #Wahaabiya Deobandiya Ke Molvio'n Ne Mazaaro'n Ko Galat Kaha Kyuki Yeh Log Sahaba👇
Ahle Bait Aur Auliya Ke Dushman Hain,

Agar Koi Yeh Ae'teraaz Karta Hai Ke Rasoolullah ﷺ Ne Aur Sahaba Ne To Aam Musalmaano Aur Nek Logo Ki Pehchaan Keliye Mazaar Nahi Banayi To Phir Unpar Humaara Bhi Ek Ae'teraaz Banta Hai Ke Sahaaba Ne Masjid Par Pehchaan Keliye👇
Gumbad Bhi Nahi Banaaya Aur Na Hi U'nchi U'nchi Buland Wa Baala Masjid Banayi Thi, Jabke
📚Abu Daawood Shareef Mein Kitaabus Salaat Ki Hadees No.445/446 Mein Hai Ke Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya Mujhe Masjido'n Ko Buland Karne Ka Hukm Nahi Diya Gaya Aur Hazrat Ibne Abbaas👇
Radiallahu Anhuma Ne Masjido'n Ko Aaraasta Karne Ko Yahood Wa Nasara Ka Tareeqa Bataya Hai, Lekin Aaj Ke Zamane Ke Hisaab Se Hum Masjido'n Ko Buland Wa Baala, Khoob Aarasta, Pakki Aur Gumbad Wa Meenar Waali Bana Rahe Hain Taake Humaare Ghar Mein Aur Allah Ke Ghar Mein Farq👇
Waazeh Ho Jaaye Isi Tarah Sahaba, Ahle Bait Wa Auliya Ki Mazaar Banayi Jati Hai Taake Aam Qabro'n Mein Aur Auliya Ki Qabro'n Mein Farq Wazeh Ho Jaye,

Agar Mazaar Banana #Shirk Ya Bidat Ya Haram Hota To Makka Madina Aur Poori Duniya Mein Mazaar Nahi Bani Hoti Ya Phir👇
Mazaaro'n Par Koi Na Koi Imam, Mohaddis Ya Mufassir Zaroor Fatwa Dete, Saudi Ne Taqreeban 70 Saal Pehle #Makka Madina Ki #Mazaaro'n Ko #Toda Hai Power Mein Aane Ke Baad Jisse Sabit Hota Hai Ke Mazaaraat To Kayi 100 Saal Pehle Se Banti Chali Aarahi Hai Jinpar Kisi Ne Fatwa👇
Nahi Lagaya Siwaaye #Wahabi Deobandi Firke Waalo Ke, Iska Matlab Yeh Huwa Ke Wahabi Firka Banne Se Pehle Poori Duniya Ke Musalmaano Ka Ijma Tha Ke Mazaar Banana Jaa'iz Hai,

Agar Koi Ab Bhi Mazaar Banane Ko Galat Kehta Hai To Usko Chahiye Ke Kisi Imaam, Mohaddis Ya Mufassir Ka👇
Fatwa Bataye, Kyuki Hum Ibne Taimiya, #Ibne Abdul Wahaab Najdi, Ismaa'il Dahelvi, Ashraf Ali Thanvi Wagairah Ke Follower Nahi 🤙

Balke Rasoolullah ﷺ, Sahaba, Ahle Bait, Imaamo, Mohaddiseen, Mufassireen Wa Auliya Ke Follower Hain.
@rattibha
@threadreaderapp
@UnrollHelper

• • •

Missing some Tweet in this thread? You can try to force a refresh
 

Keep Current with ضربے سنی

ضربے سنی Profile picture

Stay in touch and get notified when new unrolls are available from this author!

Read all threads

This Thread may be Removed Anytime!

PDF

Twitter may remove this content at anytime! Save it as PDF for later use!

Try unrolling a thread yourself!

how to unroll video
  1. Follow @ThreadReaderApp to mention us!

  2. From a Twitter thread mention us with a keyword "unroll"
@threadreaderapp unroll

Practice here first or read more on our help page!

More from @Zarbe_Sunni432

Mar 29
Waseela Lene Ka Saboot

Allah Ta'ala Ki Qudrat Hai Ke Woh Bina Waseele Ke Bhi Ata Kar Sakta Hai Lekin Allah Ta'ala Ka Qanoon Hai Ke Wasele Ke Zariye Se Hi Ata Karta Hai.

1 - Sureh Al-Maidah Aayat No.35
Tarjuma - Aye Imaan Walo Allah Se Daro Aur Uski Taraf Waseela Dhoondo Aur👇
Uski Raah Me Jihaad Karo Iss Ummeed Par Ke Falah Pao.

2 - Tafseer e Saawi, Sureh Maidah, Tehtul Aayah 35, Jild No.2, Safha No.497
Tarjuma - Iss Aayat Me Waseele Ka Ma'ani Yeh Hai Ke Jiske Zariye Allah Ta'ala Ka Qurb Haasil Ho, Ya'ani Allah Ta'ala Ki Ibadaat Farz Ho Ya Nafil👇
Unki Adayegi Ke Zariye Allah Ta'ala Ka Qurb Haasil Karo Aur Agar Taqwa Se Muraad Faraiz Wa Wajibaat Ki Adayegi Aur Haraam Cheezo Ko Chhodhna Muraad Liya Jaaye Aur Waseela Talash Karne Se Mutlaqan Har Woh Cheez Jo Allah Ta'ala Ke Qurb Ke Husool Ka Sabab Bane Muraad Li Jaaye To👇
Read 22 tweets
Mar 29
Za'faraani (Zard/Bhagwa) Color Ka Imaama Aur Kapda Pahene Ki Daleel

1-📚 Sunnan e Abu Daawood, Hadees No.4064
Tarjuma - Hazrate Ibne Umar Radiallahu Anhu Apni Daadhi Zard (Za'faraani) Rang Se Rangte The Yahaa'n Tak Ke Unke Kapde Zardi Se Bhar Jaate The, Unse Poocha Gaya,👇
Aap Zard Rang Se Kyu'n Rangte Hai'n? To Unho'n Ne Kaha Maine Rasoolullah ﷺ Ko Isse Rangte Dekha Hai Aapko Isse Zyaadah Koi Cheez Pasand Na Thi Aap Apne Tamaam Kapde Yahaa'n Tak Ke Imaama Ko Bhi Isi Rang Se Rangte The. (Sahih Hadees)

2-📚 Musannaf Ibne Abi Shayba, Jild No.6,👇
Safha No.18, Maktaba e Imdaadiya Pakistaan
Tarjuma - Yahya Bin Abdullah Bin Maalik Farmate Hai Ke Nabi e Kareem ﷺ Apne Kapdo Ko Za'farani Rang Se Rangte The Hatta Ke Apne Imama Ko Bhi Za'faraani Rang Se Rangte The. (Sahih Hadees)

3-📚 Musannaf Ibne Abi Shayba, Jild No.6,👇
Read 7 tweets
Mar 18
Huzoor ﷺ Ne Ek Namazi Ko Qatl Krne Ka Hukm Diya.

“Hazrat Anas Bin Malik رضی اللہ تعالیٰ عنہا Sey Riwayat Hey Unhoney Farmaya Ke Huzoor ﷺ Key Zamana E-Mubarak Mey Ek Shakhs Tha Jis Ki Ibadat Guzaari Aur Mujaahidey Ney Hamein Hairaani Mey Mubtila Kiya Huwa Tha. (Aur Ek Riwayat👇
Mey Yahan Tak Hey Ke Huzoor ﷺ Key Sahaba-E-Keraam رضى اللّٰه تعالیٰ عنهم Mey Sey Baa’z Usey Khood Sey Bhi Afzal Samajh Ney Lagey They) Hum Ney Rasool Allah ﷺ Key Samney Us Ka Naam Aur Us Ki Sifat Bayan Kar Key Us Ka Ta’rroof Karaaya.Ek Dafa Hum Us Ka Zikr Kar Rahey The Ke Woh👇
Shakhs Aa Gya.

Hum Ney Arz Kiya (Ya Rasool Allah ﷺ!) Woh Shakhs Yeh Hey. Aap ﷺ Ney Farmaya : Beshak Tum Jis Shakhs Ki Khabarein Detey They Yaqeenan Us Key Chehrey Par Shaitani Rang Hey Phir Woh Shakhs Qareeb Aaya Yahan Tak Ke Un Key Paas Aa Kar Khara Ho Gaya Aur Huzoor ﷺ Ko👇
Read 15 tweets
Feb 21
💠Rasoolallah ﷺ Madadgaar Hai

1 - Sureh Tehreem, Ayat No.4
Tarjuma - Nabi Ki Dono Biwio! Agar Allah Ki Taraf Tum Ruj'u Karo To Zaroor Tumhare Dil Raah Se Kuch Hatt Gaye Hai Aur Agar Unpar Zor Baandho To "Beshak Allah Unka Madadgaar Hai Aur Jibrail Aur Nek Imaan Wale Aur Uske👇
Ba'ad Farishte Madad Par Hai".

2- Tafseer e Khaazin, Al-Tehreem, Tehtul Ayah 4, 4/285 & Tafseer e Madarik, Al-Tehreem, Tehtul Ayah 4, Safha No.1257
Tarjuma - Iss Ayat Me Hazrat Ayesha Aur Hazrat Hafsa Radiallahu Anha Ko Mukhaatib Karke Farmaya Gaya Ke Aye Mere Nabi ﷺ Ki Dono👇
Biwio ! Allah Ta'ala Ki Taraf Ruj'u Karna Tumpar Wajib Hai Kyuke Tumhare Dil Zaroor Haq Se Kuch Hatt Gaye Hai Ke Tumhe Hazrat Maariya Ko Nabi ﷺ Ke Apne Upar Haram Karlene Ki Baat Pasand Aayi Jo Ke Nabi e Akram ﷺ Par Bhaari Hai Aur Agar Nabi e Kareem ﷺ Ke Muqaable Me Tum Ek👇
Read 13 tweets
Dec 11, 2022
#Ta'weez Pahenne Ka Saboot Sahaabi Aur Mohaddiseen Se

1 - Jaam'e Tirmizi, Hadees No.3528
Tarjumah - "Rasoolullah ﷺ Ne Farmaaya Ke Jab Tum Me Se Koi Nee'nd Me Darr Jaaye To Yeh Du'aa Padhe👇
أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ غَضَبِهِ وَعِقَابِهِ وَشَرِّ عِبَادِهِ وَمِنْ هَمَزَاتِ الشَّيَاطِينِ وَأَنْ يَحْضُرُون"

Tarjuma - Mai'n Panaah Maa'ngta Hun Allah Ke Kaamil Wa Jaam'e Kalmo'n Ke Zariye Allah Ke Gazab, Allah Ke Azaab Aur Allah Ke Bando'n Ke Sharr👇
Wa Fasaad Aur Shayaateen Ke Waswaso'n Se Aur Iss Baat Se Ke Woh Humaare Pass Aaye'n.

Yeh Du'aa Padhne Se Pareshaan Kun Khwaab Usko Kuchh Nuqsaan Nahi Paho'ncha Sakega.

Hazrate Abdullah Bin Umar Radiallahu Anhu Apne Baalig Bachcho'n Ko Yeh Du'aa Sikha Dete The Aur Jo Bachche👇
Read 15 tweets

Did Thread Reader help you today?

Support us! We are indie developers!


This site is made by just two indie developers on a laptop doing marketing, support and development! Read more about the story.

Become a Premium Member ($3/month or $30/year) and get exclusive features!

Become Premium

Don't want to be a Premium member but still want to support us?

Make a small donation by buying us coffee ($5) or help with server cost ($10)

Donate via Paypal

Or Donate anonymously using crypto!

Ethereum

0xfe58350B80634f60Fa6Dc149a72b4DFbc17D341E copy

Bitcoin

3ATGMxNzCUFzxpMCHL5sWSt4DVtS8UqXpi copy

Thank you for your support!

Follow Us on Twitter!

:(