Apne hi ghar mein basar karne kaagazi saboot ki zarurat nahin hoti
Yeh bhool gaye hai ke hukumraan hai yeh badshah nahin jo har hukum ki tameel hogi
#IndiaDoesNotSupportCAA_NRC_NPR #urdupoetry
Hum phir bhi madarsson mein bas "jan gan man" hi padhayenge
Tum bas kesari jhanda thame rehna
Hum teeno rang ekhatte hi lehrange (contd)@irenaakbar
@AdityaMenon22 @IndianMuslimahs
@Ssaniya25 @phulekar @IndiasMuslims
Smartcity k shosha ched kar netban lagwaya hai
Cash ghareebo k khakar cashless economy k khwaab bunwaya hai
Beti padhao ki sada dekar dar ul kutoob ko jalaya hai
Sab ka saath sab ka vikas ke aadh mein sab hi se vikas dur karwayahai
Kabhi notebandi kabhi NRCmein uljhaate hai
Khushfehmi kuch is qadr hai nadano ki Sonchte h 6salon ki nakaamyabi awaam 6din ki qataar mein bhool jayegi
Phir tawaqo rakhte hai k hamare jadd-e-aala ke kagaaz kahan rakhe the yaad rahnge
Kya khabrastaan numa desh banaoge?
Kuch mahel e wuqu bhi tha majawar ke qareeb iss qanoon ka, ya bas tasub e aqliyat tha maqsad?
hum aman ki maang aur inquelaab zindabaad ki pukaar buland karte rahenge (contd)
Hamari dardnaak cheeqon ko dheyshadgardi awaaz beshak qaraar kar dena
Hum mazahmat zor o shauq se bayaan karte rahenge
Ibteda lathi inteha behisaab shahadat se hui
Hamare hi watan se hamara haq cheen kar bhi sukoon na aya kazzabo ko
Do gaz zameen o maal jo, taa umr jiddo jahed se sameti thi unpe najayez khabze hue
Na jaane bayr inko tirange ke safed aur hare se hi kyun hai
Nishaanbaazi jo ki wardi walon ne
Safed kurte hi kaise har dafa laal hue?
Chunache mulk ke rehbar ne hi toh daawa kiya tha ke hamare libaaz se kar sakte hai pehchaan hamari
Tum hame kaise hamare hi mulk se bedaqal karoge
Jo hamari laashon ka dher tum bichaoge
Tiranga ko kafan bana kar apne hisse ki 2 gaz zameen ko seene se laga kar hi hum sukoon payenge
har kooche, har gaaliyon mein
Raat ke andheron mein, bheed mein chup kar
Hamare gharon ko jalaya,
aurton ko dara kar haath lagaya
Budhe, jawan,bachche-
kisi pe bhi rahem na haiwano ko aya
Yeh khel purana ho chuka, pyantra bemaana ho chuka
Hitler se lekar angrezo ne sab hi koshish kar haar chuke
Jab unki bhi na maani thi hindustaniyon ne toh modi-yogi-shah ki kab maan chuke (contd)
Jab hoga hum mei se ek bhi tumhare qaatilana hamle ka shikaar
Har hindustani haath jakhde mazloom ko mehfooz rakhega
Tum shadeed koshish karlo hamare jazbe ko todne ki
Hum azaad saba mein apne aain ki hurmat ki hifazat sada karnge
Hum phir bhi madarsson mein bas "jan gan man" hi padhayenge
Tum bas kesari jhanda thame rehna
Hum teeno rang ekhatte hi lehrange