@narendramodi kashmir ke bhai behen anek adhikaron se vanchit the. jo unki vikas me badi badha thi vo hum sab ki prayason se ab door h gayi hai.

1
@narendramodi jo sapna sardar vallabh bhai patel ka tha baba saheb ka tha, Dr. Shayma pr mukherjee ka tha atal ji aur karodon desh bhakton ka tha vo sapna ab poora hua hai.

2
@narendramodi j & k aur ladakh me ek naye yug ki shuruwat huyi hai. ab desh ke sabhi nagarikon ke adhikar bhi saman hain. aur dayitva bhi saman hain. me JK aur ladakh ke logon ko aur desh ke sabhi logon ko dil se bahut bahut bahut badhayi deta hun.

3
@narendramodi ye man liya gaya tha ki aise hi chalega. kuch badalega hi nahi. art 370 ke sath bhi aisa hi hua. us se jammu aur ladakh hi hamare bhai bahano ki aur bacchon ki jo hani ho rahi thi uski koyi charcha hi nahin hoti thi.

4
@narendramodi hairani ki bat ye hai ki ap kisise bhi bat karen koyi bata nahi pa raha tha ki art 370 aur 35a se jammu ke logon ko kya labh hua. algav vad atankvad parivarvad aur vyavasthavon me bhrastachar ke alawa kuch nahin diya.

5
@narendramodi in donon anuchched ka desh ke khilaf kuch logon ko bhadkane ke liye pakistan ke dwara ek sastra ki taur par istemal kiya ja raha tha. iski vajah se pichle 3 dashak me 42k nirdhosh log ko apni jan gavani padi. ye ankda kisike bhi ankhon me ansu la dega.

6
@narendramodi jk aur ladakh ka vikas us tezi se nahi ho paya jiska vo haqdar the. ab vyavastha ki ek kami door hone se jk aur ladakh ke logon ka varthaman to sudharega hi unka bhavishya bhi surakshit hoga.

7
@narendramodi hamare deshme koyi bhi sarkar sansadme kanoon bana ke desh ki bhalayi ke liye kam karten hain. kanoon banate vakt sansad ke andar aur bahar bhi charcha hoti hai. uski avashyakata aur prabhav par chintan manan hota hai. is prakriyase jo kanoon banta hai usese deshki bhala hota hai
@narendramodi lekin koyi kalpana nahin kar sakta ki sansad itni badi sankhya me kanoon banaye aur vo kanoon desh ki ek hisse me lagoo hi na ho. iski pahle ki sarkar jo kanoon ka wah wahi loot ti thi vo bhi ye dawa nahi kar pati thi ki ye kanoon me jk aur ladakh me bhi lagoo hogi.

9
@narendramodi jo kanoon desh ki poori abadi ke liye banti thi uski labh se jk aur ladakh ke 1.5 cr se jyada log vanchit rah jate the.
1. bacchon ko sikshaka adhikar
2. betiyon ke khas adhikar
3. safayi karmachari atc
4. daliton ko atyachar se bachane ke liye sakt kanoon

10
@narendramodi 5. alpa sankhyakon ke hiton ki raksha ki kanoon
6. minimum wages act
7. reservation for sc & st in elections

lekin jk aur ladakh ke log in sab se vanchit the

11
@narendramodi 370 ke in nakaratmak prabhavon se jk aur ladakh jald bahar nikalega iska mujhe poora vishwas hai. yahan ke sarkari karmachari aur police ko baki UTs ke karmachariyon ki tarah sari suvidhayen milen.

12
@narendramodi abhi UTs me anek aisi vittiya suvidhayen jaise LTC, HRA education allowance health scheme milti hain. lekin ye sab JK aur ladakh ke karmachariyon ko nahi milti. inka tatkal review karakar jk aur ladakh ke karmachariyo ko mahayya karayi jayegi.

13
@narendramodi 2. bahut jaldi kendra aur rashtra sarkaron ki rikt padon ko bharti kiya jayega. is se sthaniya yuva ko rojgar ke paryapt mauke milenge

14
@narendramodi 3. kendra sarkar ki PSUs aur badi pvt companiyon ko bhi rojgar ke avasar upalabdh karne ke liye protsahit kiya jayega.
4. sena aur ardh sainik balon dwara bhi recruitment rallies ko ayojit kiya jayega.
5. PM scholarship yojana ka vistar kiya jayega.

15
@narendramodi 6. jk me rajaswa ghata bhi bahut jyada hai. kendra sarkar iski prabhav karne ki prayas bhi karegi.
7. jk ko

thodi samay ke liye

UT banane ka faisla bahut soch samajh kar liya gaya.
iski vajah bhi mahatwapoorn hai

16
@narendramodi governors rule ki vajah se pichle kuch mahino me vahan good governance aur development ka aur behetar prabhav jameen par dikhayi dene laga hai.

jo yojanaye pahle sirf kagajon me rah gayi thi unhe abhi jameen pe utara ja raha hai.

17
@narendramodi dashakon se latke huye projects ko nayi gati mil rahi hai.
humne ek nayi karya sanskriti aur pardarshita lane ka bharasat prayas kiya hai. iska nateeja hai ki IIT IIM AIIMS irrigation aur power projects ACB - sabke kam me tezi ayi hai.

18
@narendramodi connectivity se jude projects, road aur rail ke kam airport ka adhunikikaran - sabhi ko tez gati se age badhaya ja raha hai.

19
@narendramodi dashako se vayan ke lakho logon ko vidhan sabha panchayat ya nagar palike ke chunavo me na matadan ka adhikar tha na hi chunav ladhne ka.

20
@narendramodi ye vo log hain jo batware ke bad pakistan se ayehte. baki rajyo me unko sab adhikar hain. akele jk me nahin hain. kya in logon ke sath aise hi anyay chalta rahta?

me jk ke bhayion bahano ko ek aur bat spasth karna chahta hun.
apka jan pratinidhi apke dwara hi chuna jayega.

21
@narendramodi vo ap hi me se chune jayenge. mla pahle ki tarah age bhi honge. cabinet bhi pahle ke tarah age bhi hogi. cm bhi vaise hi honge.

mujhe poora vishwas hai ki is nayi vyavastha ke tahat hum sab milkar atankvad algav vad se jk ko mukt karayenge.

22
@narendramodi dharti ka swarge vikasit ho karke pure vishwa ko akarshit karega.
nagarikon ki ease of living badhegi.
angarikon ko sare haq beroktok milne lagega.
prasasan ki sari vyavastha janhit ke karyon ko age badhayegi.
ye sab hoga to UT ko chalane ki jaroorat nahi padegi.

23
@narendramodi lekin ladakh UT bani rahegi.
hum sab chahten hain ki vaha chunav ho
nayi sarkar bane. naye tejaswi urjavan naujawan mla bane. mantri bane. mukhya mantri bane.

me bharosa deta hun ki imandar aur pardarsi tarike se apko apne pratinidhi chun nr ka avasar turant milega.

24
Missing some Tweet in this thread?
You can try to force a refresh.

Like this thread? Get email updates or save it to PDF!

Subscribe to शैलजा #ModiVolunteer
Profile picture

Get real-time email alerts when new unrolls are available from this author!

This content may be removed anytime!

Twitter may remove this content at anytime, convert it as a PDF, save and print for later use!

Try unrolling a thread yourself!

how to unroll video

1) Follow Thread Reader App on Twitter so you can easily mention us!

2) Go to a Twitter thread (series of Tweets by the same owner) and mention us with a keyword "unroll" @threadreaderapp unroll

You can practice here first or read more on our help page!

Follow Us on Twitter!

Did Thread Reader help you today?

Support us! We are indie developers!


This site is made by just three indie developers on a laptop doing marketing, support and development! Read more about the story.

Become a Premium Member ($3.00/month or $30.00/year) and get exclusive features!

Become Premium

Too expensive? Make a small donation by buying us coffee ($5) or help with server cost ($10)

Donate via Paypal Become our Patreon

Thank you for your support!