Humare Bhagwan mein bhi Bhagwa hai
yehi humari sanskriti ki pehchan hai
isko kaise jhoothlaoge?
Bol ke apne astitva ke virudh
bolo kab tak khud ko behlaoge?
Napak apne khoon ko kar-
apne purvajo ko kya munh dikhaaoge?
yaan ho lalach ke shikaar
dhikkar tum paoge!
Kuchh yahi pehchan hai tumhari
Jo apne ko dharma mein nahin sambhal paya
Aise tum, kis niti pe tik paoge?
Apne muldharma ke prati nahin jo
Wafadar
uski nishtha par kya Vishwas kar paoge?
mujko kya raah dikhaoge?
Jisne apne aap ko kiya itna nimn
Jhukaya lalchvash apne astitva ko karke chhin bhinn
Us pathpar chal, tum kitni dur jaoge
Antar aatma ka dharma kuchalkar
Tum jivanbhar moh lalach nafrat sikhate rahe
Mrutyushaiya par tum dharma kahan se laaoge?
Hindu ho tum
yah dharma nahin
aastha nahin
is mitti ki amar den hai
Veer Balveer danaveer avatari purushon ki bhumi Bharat hai
Vaman bankar Narayan jahan mange bhakt se bhiksha, woh bhoomi Bharat hai
Karna Arjun Eklavya jaise banveero ki bhoomi Bharat hai
Buddh Mahaveer RamKrishna Vivekanand Vikramaditya Chandragupta ki bhoomi Bharat hai
Porus ne jahan khadera sikandar ko woh veero ki bhumi Bharat hai
Ganga Jamuna Narmada Kaveri krishna pujaniya jahan par woh bhoomi Bharat hai
Shivaji Chanakya Maharana ki bhoomi Bharat hai
Subhash Shastri Tilak ChandraShekhar
Jahan so gaye woh bhoomi Bharat hai
Tave par jalkar
Kuchh faqra se apna sheesh katkar
Deewar mein zinda bache chunvakar
Guruwon ne jahan Dharma raksha ki rah dikhaayi
Woh bhoomi Bharat hai
Bhagat singh ki tarah haste hue jahan khaak hue
woh bhoomi Bharat hai
Aise surma hue yahan par
Jinke naam nahin par unke tan ki mitti amar bankar
In havaon se milkar
Dol-ti hai mukprekshak bankar
Bahot kuchh bolti hai
Aur aaj gar tum kehte ho khud ko zinda
Aur aaj gar tum kehte ho khud ko zinda
Bankar khaak kya tum is mitti mein mil paaoge?
Tum kaise mil paoge?