Bol ke apne astitva ke virudh bolo kab tak khud ko behlaoge?
Napak apne khoon ko kar-apne purvajo ko kya munh dikhaaoge?
Tum naraz ho yaan ho lalach ke shikaar-dhikkar tum paoge!
Jo apne ko dharma mein nahin sambhal paya
Aise tum, kis niti pe tik paoge?
Apne muldharma ke prati nahin jo
Wafadar
uski nishtha par kya Vishwas kar paoge?
Tum pathbrasht-matibrasht mujko kya rasta dikhaoge?
Tum jivanbhar moh lalach nafrat sikhate rahe
Dharma ke raksha chhatra se pare
Mrutyushaiya par tum dharma kahan se laaoge?
Jisne apne aap ko kiya itna nimn
Jhukaya lalchvash apne astitva ko karke chhin bhinn
Uske pathpar chal, tum kitni dur jaoge
Veer Balveer danaveer ki bhumi Bharat hai
Ram Krishna Karna Arjun ki bhoomi Bharat hai
Shivaji Chanakya Maharana ki bhoomi Bharat hai
Subhash Shastri ChandraShekhar
Jahan so gaye woh bhoomi Bharat hai
Porus ne jahan khadera sikandar ko woh veero ki bhumi Bharat hai
Ashok jahan chakravarti bankar sansar tyag bikshuk bane woh bhoomi Bharat hai
Amarbalidani Bhagat singh haste hue jahan khaak hue woh bhoomi Bharat ha
Jinke naam nahin par unke tan ki mitti amar bankar
In havaon se milkar
Dol-ti hai mukprekshak bankar
Bahot kuchh bolti hai
Aisi mitti ka tum kaise rin chukaoge?
Aur aaj gar tum kehte ho khud ko zinda
Bankar khaak kya tum is mitti mein mil paaoge?