Maa Aaj Khaane Mein
Kya Bana Rahe Ho ?
Ye line hum sab kehte rehte hai...puchhte rehte hai
Chahe bacha ho ya bada
Aap ho ya mein
School/college se aate hee
Ya office se phone karke
Yehi puchhte hai
Maa aaj khaane mein kya bana rahi ho...
Vo samj jaati hai...ki aaj humein kuch aur khaana hai
To vo kehti hai Jo tum kaho
Aur hum jatt se apni manpasand cheez kehte hai...
Aisa nahi hai ki maa ko hamari pasand malum nahi hoti hai
Bas us waqt humein kya khaane ki ichha hai vahi puchhti hai Maa..
Maa lag jaati hai
Taiyariyo main
Chahe beta ho ya beti
Chhota ho ya bada
Sabki farmaisho ko pura karne mein
Maa ke liye dharam sankat kya hota hai pata hai...???
Ye nahi ki aapki fav dish banane me time lagega ya mehnat hai bahut...
na bilkul na
Vo ghar me kisi ne kisi aur ko nahi pasand hogi...fir sabki pasand ka khayal rakhte hue
Maa khaana banati hai
Kabhi Maa se kehke dekhna
Maa aaj jo tumhe pasand ho vo banao
To bhi maa vahi banayegi jo aapko pasand hai...
Ek din maine socha kyu na main kuch banau..maa ko kaha
Maa aaj aap aaram karo
Aaj main kuch banata hoon
To maa kehne lagi pagal ho gaya hai kya...Ladke bhi kabhi khaana banate hai ? Chal hatt..aur mujhe kitchen mein jaane de...
Aaj aapki kitchen mein no entry
Bas aaj aap kahein ki kya khayenge aap...jo b aapka man ho aaj khaane ko
To maa muskura kar boli vaise to
Teri nani ki banayi hui har cheez meri man pasand hai..fir bhi..
Jo bhi tum banaoge vo mera aaj se man pasand..........
Khud ki pasand ko bhul jaati hai...
Kuch Aisi hoti hai maa
Maa..
socha kuch likhu
par hazaaro khayal lakho alfaaz jawaab de gaye
is ik shabd ke saamne...MAA
Main chahu to bhi
shayad kuch likh na pau
ki
kaisi hoti hai MAA
Aisi hoti hai...
Aaj is RDil ka sabhi MAA-O ko
Shat shat naman..
Jo aap karte ho Maa
Use chukaana to door ki baat...
Chukane ka sochna bhi mere bass main nahi..
Maa-o ka tyag..unka prem...
shabdo main bayaan karna bhi