Jism ki maut koi maut nahin hoti
Jism mit jaane se insaan nahi mar jaate
Dharkanein rukne se arman nahin mar jaate
Saans tham jaane se ailaan nahin mar jaate
Hont jam jaane se farman nahin mar jaate
Jism ki maut koi maut nahin hoti
Phir bhi har deen, har dharm ka gham khwaar raha
Saari qaumon ke gunahon ka kara bojh liye
Umr bhar surat e Isa jo sar e daar raha
#Sahir on #JawaharlalNehru 's death
2/
Phir bhi insaan ki akhawat ka parastar raha
Jis ki nazron mein thi aalami tehzeeb ka khwaab
Jiska har saans naye ahd ka maimaar tha
#Sahir on #JawaharlalNehru 's death
Raakh taqseem ki arman bhi taqseem karo
Maut aur zeest ke sangam pe pareshan kyun ho
Uska baksha hua sah rang alam le ke chalo
#SahirLudhianvi on #JawaharlalNehru 's death
4/
Apni peshani pe woh naqsh e qadam le ke chalo
Daman e waqt pe ab khoon ke cheente na pare'n
Ek markiz ki taraf der o haram le ke chalo
#SahirLudhianvi on #JawaharlalNehru 's death
Yeh aqeeda yeh irada yeh qasam le ke chalo
Woh jo hamraz raha haazir o mustaqbil ka
Uske khwaabon ki khushi Rooh ka gham le ke chalo
#SahirLudhianvi on #JawaharlalNehru 's death
6/6